Friday 1 November 2013

Hadith: Ameer log maal ki wajah se Hajj kar letey hain aur Gareeb log

---------- Forwarded message ----------
From: "syed sadath" <sssadath@yahoo.co.in>
Date: Sep 18, 2013 11:19 AM
Subject: █▓▒░(°TaNoLi°)░▒▓█ Hadith: Ameer log maal ki wajah se Hajj kar letey hain aur Gareeb log
To:

Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa RahmatullahiWa Barakatuhu

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Ameer log maal ki wajah se Hajj kar letey hain aur Gareeb log 
---------------------------------------
Urdu Translation:

Abu Hurairah Radi Allaho Anho ne farmaya nadar (gareeb) log Nabee Sallallaho Alaihey wasallam ki khidmat mein hazir huye aur kaha ki Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahney wali jannat hasil kar chukey halanki jis tarah hum namaz padtey hain wo bhi padtey hain aur jaisey hum rojey rakhtey hain wo bhi rakhtey hain lekin maal wa Daulat ki wajah se unhey hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ kartey hain Umrah kartey hain Jihad kartey hain aur sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paatey is par Aaap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya ki main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey aur tuharey martabey tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achchey ho jaogey siwa unkey jo yahi amal shuru kar de Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh 
(Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdlillah) aur Takbeer ( Allaho Akbar) kaha karo phir hum main Ikhtilaf ho gaya kisi ne kaha ki hum tasbeeh 33 martaba , tamheed 33 martaba aur takbeer 34 martaba kahey . Mainey is par Aap Sallallaho Alaihey wasallam se dobara malum kiya to Aap Sallallaho Alaihey wasallam ne farmaya Subhanallah aur Alhamdolilah aur Allaho akabar kaho taki hare k unmein se 33 martaba ho jaye . 

{Sahih Bukhari, Namaz ke masayeel (843)}

----------------------------------------------------

English Translation:

Narrated Abu Huraira Radi Allaho Anho : Some poor people came to the Prophet Sallallaho Alaihey wasallam and said, "The wealthy people will get higher grades and will have permanent enjoyment and they pray like us and fast as we do. They have more money by which they perform the hajj, and 'Umra; fight and struggle in Allah's Cause and give in charity." The Prophet Sallallaho Alaihey wasallam said, "Shall I not tell you a thing upon which if you acted you would catch up with those who have surpassed you? Nobody would overtake you and you would be better than the people Sallallaho Alaihey wasallam amongst whom you live except those who would do the same. Say "Subhanallah", "Alhamdulillah" and "Allahu Akbar" thirty three times each after every (compulsory) prayer." We differed and some of us said that we should say, "Subhan-al-lah" thirty three times and "Alhamdu lillah" thirty three times and "Allahu Akbar" thirty four times. I went to the Prophet Sallallaho Alaihey wasallam who said, "Say, "Subhan-al-lah" and "Alhamdu lillah" and "Allahu Akbar" all together for thirty three times." 

{Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 804}

--
--
پاکستان کسی بھی پاکستانی کے لئے اللہ کی سب سے بڑی نعمتوں میں سے ایک ہے. آج ہم جو بھی ہے یہ سب اس وجہ پاکستان کی ہے ، دوسری صورت میں ، ہم کچھ بھی نہیں ہوتا. براہ مہربانی پاکستان کے لئے مخلص ہو.
 
* Group name:█▓▒░ M SHOAIB TANOLI░▒▓█
* Group home page: http://groups.google.com/group/MSHOAIBTANOLI
* Group email address MSHOAIBTANOLI@googlegroups.com
To unsubscribe from this group, send email to
MSHOAIBTANOLI+unsubscribe@googlegroups.com
*. * . * . * . * . * . * . * . * . * . *
*. * .*_/\_ *. * . * . * . * . * . * . * . * .*
.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨) ¸.•´¸.•*´¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•` *
'...**,''',...LOVE PAKISTAN......
***********************************
 
Muhammad Shoaib Tanoli
Karachi Pakistan
Contact us: shoaib.tanoli@gmail.com
+923002591223
 
Group Moderator:
*Sweet Girl* Iram Saleem
iramslm@gmail.com
 
Face book:
https://www.facebook.com/TanoliGroups
 
---
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "M SHOAIB TANOLI" group.
To unsubscribe from this group and stop receiving emails from it, send an email to MSHOAIBTANOLI+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit https://groups.google.com/groups/opt_out.

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.