Wednesday, 1 May 2013

Hadith: Main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey



On Mon, Apr 29, 2013 at 7:22 PM, Aap Ka Dost <s4_1234@yahoo.com> wrote:
 

Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa RahmatullahiWa Barakatuhu

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne farmaya nadar (gareeb) log Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huye aur kaha ki Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahney wali jannat hasil kar chukey halanki jis tarah hum namaz parhtey hain wo bhi parhtey hain aur jaisey hum rozey rakhtey hain wo bhi rakhtey hain lekin maal wa Daulat ki wajah se unhey hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ kartey hain Umrah kartey hain Jihad kartey hain aur sadqa dete hain aur hum Mohtaji ki wajah se un kaamo ko nahi kar paatey is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main tumhey ek aisa amal batata hun ki agar tum uski pabandi karogey to jo log tumse aagey bad chukey hain tum un tak pahunch jaogey aur tuharey martabey tak phir koi nahi pahunch sakta aur tum sabse achchey ho jaogey siwa unkey jo yahi amal shuru kar de 
Har namaz ke baad 33 martaba Tasbeeh ( Subhanallah) aur Tamheed ( Alhamdulillah) aur Takbeer ( Allahu Akbar) kaha karo 
phir hum main Ikhtilaf ho gaya kisi ne kaha ki hum tasbeeh 33 martaba , tamheed 33 martaba aur takbeer 34 martaba kahey . Mainey is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam se dobara malum kiya to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Subhanallah aur Alhamdulillah aur Allahu akbar kaho taki har ek unmein se 33 martaba ho jaye . 
Sahih Bukhari, Vol 2, #843

------------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Some poor people came to the Prophet Peace be upon him and said, The wealthy people will get higher grades and will have permanent enjoyment and they pray like us and fast as we do. They have more money by which they perform the hajj, and 'Umra; fight and struggle in Allah's Cause and give in charity. The Prophet Peace be upon him said, Shall I not tell you a thing upon which if you acted you would catch up with those who have surpassed you? Nobody would overtake you and you would be better than the people amongst whom you live except those who would do the same. Say Subhanallah, Alhamdulillah and Allahu Akbar thirty three times each after every (compulsory) prayer. We differed and some of us said that we should say, Subhanallah thirty times and Alhamdulillah thirty times and Allahu Akbar thirty four times. I went to the Prophet Peace be upon him who said, Say, Subhanallah and Alhamdulillah and Allahu Akbar all together for 33 times. 
Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 804


__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
MARKETPLACE


.

__,_._,___



--
Need Your Comments.....!

-- 

For University of Pakistan Study Material Sharing, Discussion, etc, Come and join us at http://4e542a34.linkbucks.com
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "Study" group.
To post to this group, send email to http://ca13054d.tinylinks.co
For more options, visit this group at
http://004bbb67.any.gs

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.