Wednesday, 14 August 2013

AULAAD KE HUQOOQ ............




On Tue, Aug 13, 2013 at 4:07 PM, Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com> wrote:

In The Name Of ALLAH Most Gracious And Most Mercifull.
The Prophet (PBUH) Said
" Pass On Knowledge From Me Even if it is Only One Verse "
Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'Ala Rasulillah


  
AULAAD  KE  HUQOOQ
 
Aulaad Me Beta Aur Beti Dono Shamil Hain,
Aulaad Ke Huqooq Bohut Zyada Hain,
Jin Me Se Ek Bohut Ahem Haq Unki Tarbiyat Hai,
Tarbiyat Ka Matlab Ye Hai ke Aulaad Ko Deen Wo Aqlaaq Se Mamoor Kar Diya Jaye Taaki Unke Ander Deen Wo Aqlaaq Ka Wafir Hissa Moujood Rahe…..

Garz ke Aulaad Waldain Ke Zimme Amanat Hai Aur Waldain Se Qiyamat Ke Din Unke Baare Me Pooch Hogi...

Aulaad Ki Deeni Wa Aqlaqi Tarbiyat Karke Hi Waldain Apni Zimmedari Se Subukdosh Hosakte Hain...

Aur Aulaad Ki Islah Karsakte Hain,
 Aulaad Jab Saleh Hogi
 Toh Duniya Wo Aaqirat Me
Waldain Ki Aankhoun Ki Thandak Banegi…

Jab Banda Marr Jata Hai
Toh Usska Amal Bhi Munqatah Hojata Hai...
Magar 3 Qism Ke Amal Ka Sawab Jaari Rehta Hai…

1 - Sadqa-e-jariya…

2 - Aisa Ilm Jis Se Usske Baad Bhi
      Faiyada Uthaya Jaaye….

3 - Saleh Aulaad Jo Usskeliye
      Dua Karti Rahe….

Yeh Aulaad Ki Behtareen Taleem Wo Tarbiyat
Hi Ka Natija Hai Ki Waldain Ke Marne Ke Baad Bhi
 Woh Unkeliye Nafaa Baqsh Hoti Hai……

Aaye Allah Humari Duaoun Ko Qabool Farma..
Hum Pe Apna fazal Wo Karam Kar
 Hum Sab Ko Gunahoun Se Bacha.....
Ameeen Ya Rabbul Alameen
 
Aap Sabki Duaoun Ki Talib
RUBINA  YASMEEN




--
Need Your Comments.....!

-- 

For University of Pakistan Study Material Sharing, Discussion, etc, Come and join us at http://4e542a34.linkbucks.com
You received this message because you are subscribed to the Google
Groups "Study" group.
To post to this group, send email to http://ca13054d.tinylinks.co
For more options, visit this group at
http://004bbb67.any.gs

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.