2011/8/26 Umair Saulat <saulat.umair@googlemail.com>
Shab-e-Qadar ke liye duaon mangni hai Allah sey yeh
Ya Allah jiss terha sey tujh ney Hazrat Younus (A.S) ko Machili ke pait mein mehfooz rekhaa iss terha tujh merey porey pakistan ko mehfooz rekh aur karachi mein apney khass karam farma apni sari rehmatey sey karachi mein aman farma.Ya Allah jiss terha sey tujh ney Hazrat Ibrahim (A.S) ko agg sey mehfooz rekhaa iss terha tuhj hum muslamanoo ko youdo-nasara ke ghalat iradoo sey mehfooz farma aur in ko hidayat dey ager yeh hidayat paney waley hain warna in ko nasto-nabood kar dey.Ya Allah jiss terha sey tujh ney Hazrat Moosa (A.S) ko selaab sey mehfooz rekhaa iss tera tujh hum sub ko aik qasim ki pereshani mein mehfooz farma..YA Allah merey ghar mein barkat nazil farma aur merey ghar walo ko izzat dey meri tamam muslaam behnoo ki jaizz hajjaat ko qabool-e-manzoor kar aur in sub ke dilon mein Allah aur Rasool (S.A.W.W.) ki sachi mohabbat dal dey sub ko namaz qaim karni ki tufiq naik ki dawat aur achey akhlaq sey baat karey baroo ka adab karey wadain ke saath naik salook karey, neek kaam karney ki tufiq dey, tamam bemaroo ko jalid sehat-e-kamla ata kar, ju qadain apney bachion ke rishtey ke liye pereshan hai in ko naik aur achey rishtey ata kar, aur ju muslaam intekal kar chukey hain in sub ko jinnat-e-firqous ata kar , humari tamam muhskilooo tu aasaan kar dey. jab hum duniya sey ruksat ho tu zuban per hoo
لا اله الا الله محمد رسول الله aur hum ko jinnat -e-firqous ata farma aur hum sub ke kabeera aur Sighira gunnaoo ko maaf farma aur hum sub ko Makkah aur Madina dhekka hajj ada karny ki tufiaq dey, aur hum sub ko aizaab-e-qabar sey bacha aur mumamal aiman ke saath is duniya sey ruksat farma
YA Allah muhjey mangna nahi aata mager tujh ko tu deena aata hai tujh meri taraf maat dhek kyun ke mein tu gunagar khatakar hoon mager mein hoon terey banda aur aap yeh sub jantey bhi hain bus tujh yeh dhek mein mang kiss sey raha hoon tujhey wasta terey Shan-e-jaglajalalaho aur terey pass tu koi kami nahi terey khazaney mein.
Yeh Sub Duaon tu qabool kar Ameen
aap sub bhi mil kar kehoo Ameen
--
Zindagi mein 2 Logo ka buhat khayal rahkoooo
Ist woh jiss ney tumhari jeet ke Liye buhat kuch hara hoo (Father)
2nd woh jiss ko tum ney har dukh me pukaara hoo (Mother)Regards,Umair Saulat
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.